Wednesday, August 12, 2020

Monday, June 10, 2019

Jo kar gaye prachar

Jo kar gaye prachar, wo log aur the
Vaade kiye hazar, wo log aur the

Jitne kiye the vaade, sabse mukar gaye
Janta to thi hi pagal, jite ji mar gaye
Jo karte the inse pyar, wo log aur the
Jo kar gaye prachar, wo log aur the
Vaade kiye hazar, wo log aur the

Janta to thi murakh, fir se chhale gaye
Jo the daku lootere, wo Delhi chale gaye
Jo bana liye sarkar, wo log aur the
Jo kar gaye prachar, wo log aur the
Vaade kiye hazar, wo log aur the

Humne chuna tha unko, jinka daaman tha bedaag
Aankhon ke samne se, chor loot kar gaye bhag
Jo dikhte the imaandar, wo log aur the
Jo kar gaye prachar, wo log aur the
Vaade kiye hazar, wo log aur the

Apna to jaise taise zindagi chala karegi
Jitna milta tha pahle, utna hi mila karegi
Jinka badha pagar, wo log aur the
Jo kar gaye prachar, wo log aur the
Vaade kiye hazar, wo log aur the

Jo kar gaye prachar, wo log aur the
Vaade kiye hazar, wo log aur the

Saturday, May 11, 2019

DOSTI Wale Din-2

Hum Apne dil ke the badshah dosto
Fir se ek sath rahe, yahi hai chah dosto

Bade shan se hum sare niyam tode the
Picture dekhne ke liye college chhode the
Tab tha hume kahan kisi ka parwah dosto
Hum Apne dil ke the badshah dosto

Yaad hai na kaise Vishnu me maar kiye the
Sandhya me kaise uska sar fad diye the
Hum sab hain uss kshan ke gawah dosto
Hum Apne dil ke the badshah dosto

Jane-jigar yaro ke yaar hote the
Jaan dene ke liye hardam taiyar hote the
Mante the ek duje ka salah dosto
Hum Apne dil ke the badshah dosto

Achchhai se, burayi se kuchh nata nahi tha
Dosti ke siva aur hume kuchh aata nahi tha
Dosto ke sang chal pade,wahi tha sahi rah dosto
Hum Apne dil ke the badshah dosto

Hum Apne dil ke the badshah dosto
Fir se ek sath rahe, yahi hai chah dosto

Sunday, October 21, 2018

Tuesday, September 25, 2018

Mera desh sach me badal raha hai

Mera desh sach me badal raha hai
satta ke liye har koi , ek chal chal raha hai

Jo aaye the mandir banane ke liye
Wo Triple Talaq par kanoon banane lage
Jo kahte the, hinduon ko aatankvadi
Wo tirth aur kailash mansrovar jane lage
Koi aaye the bhrashtachar ke khilaf ladte ladte
Wo aaj khud bhrashtachar me jail ki hawa khane lage
Apne hatho se apni vichardhara ko nigal raha hai
Mera desh sach me badal raha hai

Jo hua karte the aapas me shatru kabhi
Ab darr ke mare sath chalne lage
Futi ankh jo nahi suhate the kal tak
Aaj has kar bhari sabha me gale milne lage
Jis dal ke khilaf ladkar wo aaye the satta me
Aaj usi se samarthan ki bhikh mangne lage
Sabke chehre par hai hasi,dil magar jal raha hai
Mera desh sach me badal raha hai

Jab vipaksh me the,bade jod se mudda uthate the
Aaj satta milne ke baad wo dhar raha nahi
unse puchho,Jinhone 60 sal tak sarkar chalayi
Wo kahte hain ab humara sarkar raha nahi
Unke kale karnamo,ghotalo ke baar me puchho
Janch chal rahi hai,Unke liye ab koi jimmedar raha nahi
Rajniti me aadarshon ka suraj dhal raha hai
Mera desh sach me badal raha hai

Tuesday, August 28, 2018

Betiyon ka janm lena apradh hai Bharat me

Betiyon ka janm lena apradh hai Bharat me
Pal-Pal betiyon ki jaan rahti hain yahan aafat me

Kabhi janm lete hi,to kabhi janm se pahle
Yahan betiyan maar di jati hain
Sadiyon se yahi hota aaya hai yahan
Bhari sabha me beti ki izzat utar di jati hai
Beti ka samman nahi karne walo
Bhul gaye kya hua tha MahaBharat me
Betiyon ka janm lena apradh hai Bharat me

Kabhi hum ladki ko ghurte hain,To kabhi unke kapde ko
Chalna mushkil kar dete hain sadako par
Fir bhi sab ladki ko hi doshi manenge
Koi ungli nahi uthata apne ladko par
Kabhi hum ladko ko bhi sikhaya kare
Ki raha karo thoda sarafat me
Betiyon ka janm lena apradh hai Bharat me

Ab to betiyon par bhi rajneeti hone lagi
Ye bhi dekha jata hai kisne kiya hai gunah
Gunahgar ko hi har kemat par bachana hai
Betiyon ki nahi hai kise ko parwah
Kab tak hum gunehgar ko bachayenge ye bolkar
Ladko se galti ho jati hai shararat me
Betiyon ka janm lena apradh hai Bharat me

Kisne kiya tha yaise Bharat ki kalpana
Jahan betiyon ko paiso ke liye jalaya jayega
Betiyon ki kadam kadam par kurbani di jayegi
Aur market me khote sikke ko chalaya jayega
Hum aaj bhi wahin ke wahin khade hain
Aaj bhi betiyan maar di jaati hai,beto ki chahat me
Betiyon ka janm lena apradh hai Bharat me

Sunday, August 5, 2018

Mere Desh se tum na bair karo

 Ye Bharat hai
Ye Jannat hai
Tum Jannat ki sair karo
Mere desh se tum na bair karo
Iss desh se tum na bair karo

Humpe hui hai kitni chadhayi
Humne ladi hai kitni ladayi
Mugalo aur afgano se
Kaise hume azadi mili hai,Ye puchho azadi ke diwano se
Aaj azadi mangne walo
Baat na tum be-sir pair karo
Mere desh se tum na bair karo
Iss desh se tum na bair karo

Hum sone ki chidiya kahlate the
Door door se log yahan aate the
China se , Yunan se
Mera Bharat hai sabse achchha, ye puchh lo sare jahan se
Bharat se nafrat karne walo
Pahle tum apni khair karo
Mere desh se tum na bair karo
Iss desh se tum na bair karo