Ek din ke liye fir jee lete hain
Wo mauz wale din
Wo Ranchi ki yaaden
Wo Badshah lodge wale din
Aaj kisi gum me khona nhi hai sathi
Aaj raat fir sona nhi hai sathi
Socho waqt aage badha hi nhi
Dosti ke baad aur koi nasha chadha hi nhi
Biti baaton ko yaad kar rona nhi hai sathi
Ek din ke liye fir jee lete hain
Wo Lalu block wale din
Wo Purulia road ki yaaden
Wo lalpur chowk wale din
Dosti ka wo zamana laut aaya hai
Gayab hua wo dost purana laut aaya hai
Socho ek sath kaise rahte the hum
Jheel me rahkar bhi dariya sa bahte the hum
Lagta hai Samandar se khazana laut aaya hai
Ek din ke liye fir jee lete hain
Wo bina kundi ke darwaza wale din
Wo Sandhya,Sujata ki yaaden
Wo Mini Sujata,Plaza wale din
Ab to jhuthi baaton se dil bahlan lage
Achchhi boli bol kar sabhya kahlane lage
Par doston ke liye zuban par lagam nhi hota tha
Bina gali diye dua salam nhi hota tha
Ab salo baad mile hain to sab sharmane lage
Ek din ke liye fir jee lete hain
Wo Gali galauz wale din
Wo Ranchi ki yaaden
Wo Badshah lodge wale din