Samay se pahle bhagya se jyada kahan kisi ko mila hai
kahin pe banzar dharti dekho,kahin pe phool khila hai
Is duniya me aaye the hum sab ek saman
koi fakir rah gaya,koi ban baitha dhanwan
dhanwano ka gat to dekho,khandhar unka kila hai

Sari umar lage rahe par laga nahi kuchh hath
koi palak jhapakte hi sab le gaya apne sath
palak jhapakte yahan sabkuchh badle,ye bhi teri lila hai

Utna hi mil payega jitna likha vidhi ka vidhan
Niyati ko koi badal na paya,samajh le re nadan
Niyati se mache uthal-puthal,patta patta hila hai