Saturday, July 20, 2013

Chal Sakta Tha Main

Main sath tere chalta raha,ab thak chuka hoon
Tumne pukara hota,to kuchh dur aur chal sakta tha main

Ha thik kahan tumne main hoon pathar dil lekin
Tumhare sparsh matra se pighal sakta tha main

Mujhme suraj sa aag nahin,jo salo sal jalta rahu
Main aakhir hoon mom ka diya,is se jyada kya jal sakta tha main

Jamane ko sahara dene hi wala aaj besahara hai
Tumne sath diya hota to sambhal sakta tha main

Main uss rah pe chal pada hoon,jahan se wapsi mumkin nahin
Tumne roka hota to apna irada badal sakta tha main

Tuesday, July 2, 2013

MAGGI



Mere dost "X" ke sath yaisa ek chance hua
Use ek ladki ke sath romance hua

Uski yaad me wo aahen bharta tha
Uski gali ke chakkar kata karta tha

Maine us se bola ki jab yaisa hai to use bahon me bhar lo
Aur mauka dekh kar us se shadi kar lo

Wo bola ki uske baad main biwi ke rang me main rang jaunga
Raat ka khana to mil jayega,sham ke maggi kiske sang khaunga

Uski baton ne mujhe under se jhakjhore diya
Main bhi maggi kahunga yaisa pran kathore kiya

Kuchh din baad mere dusre dost "Y" ko bhi usi ladki se pyar hua
"Y" ka ye pahla pyar tha,ladki ko dusri baar hua

Usne bhi ladki se bola chalo 2 min me kuchh banate hain
Aur chalkar mere room pe maggi khate hain

Wo ladki boli,jahan tum le ja rahe ho,tera dost kai bar le ja chuka hai
Aur jo maggi tum aaj kaoge ,wo kai baar kha chuka hai

"Y" itne me ghabra gaya
Use laga ki aaj wo pakda gaya

Par usne na koi bahane kiya
Aur usko bhi maggi kha kar hi jane diya

Mujhko bhi raham aaya uss masum pe
Aur ek din wo mil gayi mujhe bhi uske room pe

Per pahle wo kuchh bole,apna muh khole
Mere ander se bhi ek awaz aayi,is bahti ganga me tu bhi hath dho le

Maine sirf hath dhoya nahin,ji bahr ke nahaya bhi
Aur uske sang bharpur maggie khaya bhi

Itna kuchh hone ke baad shaam dhalne lagi
Main apne raste aur wo apne raste chalne lagi