Saturday, July 20, 2013

Chal Sakta Tha Main

Main sath tere chalta raha,ab thak chuka hoon
Tumne pukara hota,to kuchh dur aur chal sakta tha main

Ha thik kahan tumne main hoon pathar dil lekin
Tumhare sparsh matra se pighal sakta tha main

Mujhme suraj sa aag nahin,jo salo sal jalta rahu
Main aakhir hoon mom ka diya,is se jyada kya jal sakta tha main

Jamane ko sahara dene hi wala aaj besahara hai
Tumne sath diya hota to sambhal sakta tha main

Main uss rah pe chal pada hoon,jahan se wapsi mumkin nahin
Tumne roka hota to apna irada badal sakta tha main

No comments: