Wednesday, October 25, 2017

Ha main bahut bada secular hoon

Ha main bahut bada secular hoon

Gart me dhasa hoon bas dikhta zameen ke upar hoon
Ha main bahut bada secular hoon

Intellectual kahte hain sab , par pura anpad hoon
Ha main bahut bada secular hoon

Kashimiri pandito ko bahar nikalo,Rohingaya ke punarwas ka pakshdhar hoon
Ha main bahut bada secular hoon

Gandhi parivaar ka chamcha ek number hoon
Ha main bahut bada secular hoon

Iftar party par dikhunga,Ramnavmi ke din nahi aata nazar hoon
Ha main bahut bada secular hoon

Ram name se nafrat hai,zakir nayik ka zahar hoon
Ha main bahut bada secular hoon

Asahishnu hoon, odhe sahishnuta ka chadar hoon
Ha main bahut bada secular hoon

Apni janani janmbhumi ka karta sada anadar hoon
Ha main bahut bada secular hoon

Bheje me hai ghas bhara,har mudde par bolta barabar hoon
Ha main bahut bada secular hoon

Bharat tere tukde honge,kahne walo ka supporter hoon
Ha main bahut bada secular hoon

Sahitya ka pata nahi bas karta aadamber hoon
Ha main bahut bada secular hoon

Aatankbad ka samarthan,Sainiko par fekta pathar hoon
Ha main bahut bada secular hoon

Apna agenda chalata hoon,padhta TV par khabar hoon
Ha main bahut bada secular hoon

Tuesday, April 25, 2017

Monday, April 24, 2017

Jai Sri Ram

Mandir mandir ghum ghum kar
Mathe tilak lagata hoon
Aajkal main subah subah
Sri Ram ki aarti gata hoon

Mere bhi aaradhya ram hain
Tere bhi aaradhya hain
Hum sab to bas sadhak hai
Wo hum sabke sadhya hain
Main to hoon Sri Ram ka bhakt
Sri Ram ki baat sunata hoon
Aajkal main subah subah
Sri Ram ki aarti gata hoon

Jap le tu Sri Ram ka name
Kashta tera wo har denge
Khali jholi lekar ja tu
Wo khushiyon se bhar denge
Din raat main logo ko
Sirf yahi samjhata hoon
Aajkal main subah subah
Sri Ram ki aarti gata hoon

Apne mann ko nirmal rakh tu
Sri Ram ka tujhme hoga bas
Tera vaibhav bhavya rahega
Duniya me tu hoga khas
Sri Ram ki bhakti me hai shakti
Sri Ram ki sharan me jata hoon
Aajkal main subah subah
Sri Ram ki aarti gata hoon