Monday, April 24, 2017

Jai Sri Ram

Mandir mandir ghum ghum kar
Mathe tilak lagata hoon
Aajkal main subah subah
Sri Ram ki aarti gata hoon

Mere bhi aaradhya ram hain
Tere bhi aaradhya hain
Hum sab to bas sadhak hai
Wo hum sabke sadhya hain
Main to hoon Sri Ram ka bhakt
Sri Ram ki baat sunata hoon
Aajkal main subah subah
Sri Ram ki aarti gata hoon

Jap le tu Sri Ram ka name
Kashta tera wo har denge
Khali jholi lekar ja tu
Wo khushiyon se bhar denge
Din raat main logo ko
Sirf yahi samjhata hoon
Aajkal main subah subah
Sri Ram ki aarti gata hoon

Apne mann ko nirmal rakh tu
Sri Ram ka tujhme hoga bas
Tera vaibhav bhavya rahega
Duniya me tu hoga khas
Sri Ram ki bhakti me hai shakti
Sri Ram ki sharan me jata hoon
Aajkal main subah subah
Sri Ram ki aarti gata hoon

No comments: