Ab tu mujhse milta nahi hai,Khafa hai kya?
Har baar main hi juhku,tu khuda hai kya?
Main aaj hi sare gile-sikwa bhula du
Bas ek baar itna bata do meri khata hai kya?
Tum par bhi hoga badi jimmedariyon ka bojh
Main kis haal me hoon, tujhe pata hai kya ?
Jab bhi mile to tu bas khamosh hi raha
Bataye bhi to nahi,tujhe hua hai kya?
Tera raaz humesha mere sine me dhafan rahenge
Kabhi kisi raaz se ab tak parda hata hai kya?