Sunday, May 26, 2013

Tanhai

Jab aaya tha iss shahar me naya naya,
Raha karta tha bas khoya khoya
Ek sachche sathi ki talash me
Din bhar firte rahte the
Bas tumko hi dekha karte the
Ye sochkar ki yahan mujhe
Janta hai koi…

Jitna jyada hasa karte the pahle
Ab utna hi rahte hain sahme sahme
Shor sharabe se dur hi rahta hoon main
Band kamre me apne aap ko rakhta hoon main
Aksar akele me hasi aa jati hai mujhe
Ye soch kar ki dekhkar yahan mujhe
Muskurata hai koi…

Ghar ke andar se hi aasman ko dekhta hoon main
Ye wahi aasman hai jo tumhe bhi dhkta hoga
Suraj se hi baat kiya karta hoon main
Isi suraj ki roshni tum tak bhi jati hogi.
Achanak kisi pe padte hi nazar
Khidki ke pardo me chehra chhupa leta hoon main
Ye soch kar ki yahan mujhe
Ghurta hai koi…

Jab tumahri yaad aati hai to,hoti hai muskil
Aankh bahr aati hai,bas jaan hi nehin jaati hai
Chehre pe muskurahat sayad hi kabhi aati hai
Koshish karunga ki apni kano ko bhi band rakhu
Adhi raat ko kahin nikal na jau main ghar se bahar
Ye soch kar ki yahan mujhe
Pukarta hai koi…

Ek wo din tha,
Aur ek ye aaj ka din hai
Iss virane me kitna akela hoon main
Isliye aina dekh khush ho jata hoon main
Ye sochkar ki yahan mujhe
Pahchanta hai koi…

No comments: