Sunday, May 26, 2013

Tumhare Bina Main Kaise Rahta Hoon

Is se jyada aur main kya liku ki
Tumhare bina main kaise rahta hoon

Tum Sath Thi To Zamana Tha HumSafar Mera
Magar Ab Koi Nhi Mere Sath
Chalta hoon main apni tanhai ke sath
Itna to tumhe bhi pata hoga
Tanhai ki iss aandhi me main
Sukhe patton ki tarah yahan se wahan
Charo disaho me main bahta hoon
Is se jyada aur main kya liku ki
Tumhare bina main kaise rahta hoon

Tanhai jab muqaddar me likhi hai
To fir main kyon rakhu
Fir se ek hone ki aakhiri ummid
Thodi galtiya mujhse bhi hui hongi
Tumne chhodi nehin hume aazmane ki zid
Tumhare berukhi ki saza
Har din har pal main sahta hoon
Is se jyada aur main kya liku ki
Tumhare bina main kaise rahta hoon

Kabhi to apni baat hogi
Kabhi to apni mulakat hogi
Uss samay mujhse nazare milaogi kasie
Tum par main yahin karu
Ye yakin dilaogi kasie
Jo main aaj tak na kah saka tumse
Lo aaj main kahta hoon
Is se jyada aur main kya liku ki
Tumhare bina main kaise rahta hoon

No comments: